Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

~*shery {khamosh}*~

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: ~*shery {khamosh}*~

    ek bewafa ko jeene ka sahara samaj liya.

    Pathhar ko aankho ka taara samaj liya.

    Apna hi tha kasoor jo toofan me pans gaye.

    Ek lahar thi jisko kinara samaj liya.



    ...~~~shery {khamosh}~~~...
    ~~~~~LOVE~IS~A~PART~OF~LIFE~NOT~LIFE~~~~~

    Comment


    • Re: ~*shery {khamosh}*~

      Dil se roye magar honto se muskura baithe,

      Yunhi hum kisi se wafa nibhah baithe,

      Woh humein ek lamha na de paye,

      Jin ke liye hum apni zindagi gawa baithe.



      ...~~~SHERY {KHAMOSH}~~~...
      ~~~~~LOVE~IS~A~PART~OF~LIFE~NOT~LIFE~~~~~

      Comment


      • Re: ~*shery {khamosh}*~

        Kisi ne hume aashiq kaha,

        Kisi ne hume diwana kaha,

        In aankhon me aansu tab aaye,

        Jab us ne hume bewafa kaha.



        ...~~~SHERY {KHAMOSH}~~~...
        ~~~~~LOVE~IS~A~PART~OF~LIFE~NOT~LIFE~~~~~

        Comment


        • Re: ~*shery {khamosh}*~

          Ab kya sunaon kya sunoge hai zindagi boht pareshaan meri,
          Saraapaaey dard hoon hai hasrat bhari ye daastaan meri,

          Khander hain aarzuon k yahan sur bikherte nahin hawaon k,
          Nahin hai koi gulsitan mera aur na hai koi kehkashaan meri,

          Chaah ker bhi keh na paon seene mai dard-e-dil chupaon,
          Kisi boujh se hai ey doston boht dabi hui ye zubaan meri,

          Ey fehmi batla de tu hi mujhe koi raasta dikhla de mujhe,
          Ik musafir hoon bey saro saaman manzil hai bey naam o nishaan meri...



          ...~~~SHERY {KHAMOSH}~~~...
          ~~~~~LOVE~IS~A~PART~OF~LIFE~NOT~LIFE~~~~~

          Comment


          • Re: ~*shery {khamosh}*~

            Hazaar Gham they meri zindagii akeli thi,
            Khushi jahan ki mere vaaste paheli thi,

            Vo aaj bach ke nikalte hain mere saaye se,
            Ki main ne jin ke liye Gam ki dhuup jheli thi,

            Judaa hui na kabhi mujh se gardish-e-dauraan,
            Meri hayaat kii bachpan se ye sahelii thii,

            Charha rahe hain vo hi aaj aastin mujh par,
            K jin ki peeth pe kal tak meri hatheli thi,

            Ab un ki qabr pe jalta nahi diyaa koi,
            K jin ki dahar mein roshan bahut haveli thi,

            Vo jhuk k phir meri turbat pe kar rahe hain salaam,
            Isi adaa ne to "SHERY" ki jaan le li thi...



            ...~~~SHERY {KHAMOSH}~~~...
            ~~~~~LOVE~IS~A~PART~OF~LIFE~NOT~LIFE~~~~~

            Comment


            • Re: ~*shery {khamosh}*~

              Mere aangan mein kabhi phool khila krtay thay",
              Meri aankhon mein b khwaab basa krtay thay",

              Mujh ko halaat ki aandhi nay giraya warna",
              Mere saaye mein b kuch log raha krtay thay",

              Hain yaad humein rafaqat ki wo gehraiyan ab b",
              Dil ki dharkan b tere sath suna krtay thay",

              Aaj wo mehfil mein anjaan bnay baithe hain",
              Jo kabhi mujhe apni jaan kaha krtay thay",

              Ab trasti hain teri deed ko aankhein",
              Ik zamana tha hum roz mila krtay thay"..


              ...~~~SHERY {KHAMOSH}~~~...
              ~~~~~LOVE~IS~A~PART~OF~LIFE~NOT~LIFE~~~~~

              Comment


              • Re: ~*shery {khamosh}*~

                Mai Tera Muntazir Hoon Mujhe Muskra K Mil,
                Kab Tak Tujhe Talaash Karon Ab Tou Aa K Mil,

                Yon Mil K Phir Judai Ka Lamha Na Aa Sakey,
                Jo Darmiyan Mai Hai Sab Kuch Mita K Mil,

                Ye Kya K Hum Milain B Aor Mulaqat B Na Ho "WASI",
                Seeney Se Mat Laga Mujhe Dil Se Laga K Mil...



                ...~~~SHERY {KHAMOSH}~~~...
                ~~~~~LOVE~IS~A~PART~OF~LIFE~NOT~LIFE~~~~~

                Comment


                • Re: ~*shery {khamosh}*~

                  **Kaash Usey Chahney Ka Armaan Na Hota,,,

                  **Main Hosh Main Hotey Howey Anjaan Na Hota,,,

                  **Ya piyar Na Hota Kisi Pathar Dil Se Humein,,,

                  **Ya koi Pathar Dil Insan Na Hota....*~


                  *~SHERY~*~*~KHAMOSH~*
                  ~~~~~LOVE~IS~A~PART~OF~LIFE~NOT~LIFE~~~~~

                  Comment


                  • Re: ~*shery {khamosh}*~

                    =>Hum aa k tere sheher se wapas na jayen gay~~
                    =>Ye faisala kiya hai tujhe dekhne k baad~~

                    =>Kehte hain tujhe log masiha magar yahan~~
                    =>Ek shakhs mar gaya hai tujhe dekhne k baad~~

                    =>Sajdah karon k naqsh-e-qadam chumta rahoon~~
                    =>Ghar Kaba ban gaya hai tujhe dekhne k baad~~

                    =>Sajdah karon ga tujhko to kafir kahen gay log~~
                    =>Ye kon sochta hai tujhe dekhne k baad~~

                    =>Rehta hai khoya khoya sa har waqt ab "SHERY"~~
                    =>Ye haal ho gaya hai tujhe dekhne k baad~~


                    *~SHERY~*~KHAMOSH~*
                    ~~~~~LOVE~IS~A~PART~OF~LIFE~NOT~LIFE~~~~~

                    Comment


                    • Re: ~*shery {khamosh}*~

                      Ye Hijr k Sadme tou kabi kam nahi hon gy,

                      Tum Laut k Ao gi tou phr Hum nahi hon gy,

                      Chahat k Chiraghon main yahi baat Ajab hai,

                      Bujh Jaen gy Lekin kabi Madhm nahi hon gy...



                      ...~~~SHERY {KHAMOSH}~~~...
                      ~~~~~LOVE~IS~A~PART~OF~LIFE~NOT~LIFE~~~~~

                      Comment


                      • Re: ~*shery {khamosh}*~

                        >Wo shakhs raat phir meri hasti pe chaa gaya,
                        >Itna qareeb aaya k dil main sama gaya,

                        >Wo aik pal jo de gaya aasodgi ki leher,
                        >Jazbon ki taza dhoop mein pagal bana gaya,

                        >Pehle mere wajood per utra wo boond boond,
                        >Barsa tou phir ghata ki tarah mujh pe chaa gaya,

                        >Wo jab mila to piyas se lab khushk the bohat,
                        >Lota tou hasraton ko wo pani pila gaya,

                        >Paband kr gaya mujhe lamhon ki qaid mein,
                        >Ankhon pe apni yaad k pehre bitha gaya...



                        ...~~~SHERY {KHAMOSH}~~~...
                        ~~~~~LOVE~IS~A~PART~OF~LIFE~NOT~LIFE~~~~~

                        Comment


                        • Re: ~*shery {khamosh}*~

                          *Wafa ki jang Mat Larna Bekar jati hai,,~~

                          *Zmana jeet jata hai Mohabbat Har jati hai,,~~

                          *Hmara Tazkra chorro Hm aise Log hain Jinko,,~~

                          *Zamana kuch Nahi kehta Judai Maar jati hai,,~~


                          *SHERY* {KHAMOSH}
                          ~~~~~LOVE~IS~A~PART~OF~LIFE~NOT~LIFE~~~~~

                          Comment


                          • Re: ~*shery {khamosh}*~

                            ....."Yaad".....

                            Njane kyun,


                            Baarish jab b hoti hai,,,,
                            Mere ander uski yaad,,,,

                            Chupke chupke roti hai.....!!!


                            SHERY {KHAMOSH}
                            ~~~~~LOVE~IS~A~PART~OF~LIFE~NOT~LIFE~~~~~

                            Comment


                            • Re: ~*shery {khamosh}*~

                              Bhool kr B kanda na Daina meri mayat Ko,,,,,,,

                              KahiN Phir Zinda na ho JaoN Tera Sahara Samjh kr,,,,,,



                              SHERY <KHAMOSH>
                              ~~~~~LOVE~IS~A~PART~OF~LIFE~NOT~LIFE~~~~~

                              Comment


                              • Re: ~*shery {khamosh}*~

                                BarishO k mosam mein,
                                !
                                Waqt k andherOn mein,
                                !
                                Mein ne us se pOcha tha,
                                !
                                ChOrr tO na jaO gi?
                                !
                                Haath tham kr usne,
                                Kaan mei ye bOla tha,
                                !
                                Kesy chOrr sakti hOn?
                                Tum tOu Jan hO meri,
                                !
                                Or aaj aisa hai,
                                !
                                Waqt ki tamazat mein,
                                !
                                WehshatO k Mosam mein,
                                !
                                Mein ny us se pOcha hai,
                                !
                                ChOrr kr hi jana tha?
                                !
                                Muskurati galiyO mein,
                                !
                                Aas Q dilayi thi?
                                !
                                Pyas Q jagayi thi?
                                !
                                Mere in sawalOn pr Chalte chalte wO bOli,
                                !
                                MosamOn k khel han sb,
                                !
                                Or mOsam tO bdaltay hain.......



                                ...~~~SHERY {KHAMOSH}~~~...
                                ~~~~~LOVE~IS~A~PART~OF~LIFE~NOT~LIFE~~~~~

                                Comment

                                Working...
                                X